Legal
Terms & Conditions
Last updated: September 2025
1. Khidmat ki wazahat
Yeh website sirf rohani ilaj, istikhara, dua, wazifa aur taweezat ke baare mein maloomat faraham karti hai. Yeh tibbi, qanooni ya mali mashware ki jagah nahi hai.
Website par mojood maloomat ka maqsad aap ko hamari khidmat samjhana hai - yeh kisi bhi shakhs ko rohani ilaj lene ka hukm ya dabao nahi hai.
2. Istikhara aur pehli guftagu
- Pehla istikhara bilkul free hai - koi advance nahi, koi shart nahi.
- Istikhara ke baad aap ko saaf bataya jata hai ke is case mein rohani amal munasib hai ya nahi.
- Agar istikhara acha na aaye, to aap par koi zimmedari nahi hoti.
3. Raqam aur adaigi
- Amal shuru hone se pehle raqam tay aur muqarra kar di jati hai.
- Raqam ek baar tay hone ke baad beech mein barhai nahi hoti.
- Raqam waqia ki shiddat, muddat aur amal ki kisam ke mutabiq alag alag ho sakti hai.
- Aap ko raqam tay hone se pehle puri tafseel bata di jati hai.
4. Parda-dari ki khatir
- Aap ka naam, masla, tasveer ya screenshot kahin publish nahi hota.
- Aap ki guftagu aur hawale sirf iss silsile ke liye istemal hotay hain.
- Kisi ko kuch nahi bataya jata - na family member ko, na kisi aur ko, bina aap ki ijazat ke.
5. Rohani amal ki muddat
- Har amal ki ek muqarrar muddat hoti hai (aam tor par 11, 21 ya 41 din).
- Natijay mein waqt lag sakta hai - yeh Allah ke hath mein hai.
- Amal ke doran aap se bhi tawakkul aur sabr ki umeed ki jati hai.
6. Guarantee ki wazahat
Koi bhi natije ki guarantee nahi de sakta. Rohani amal, dua aur wazifa hamari zimmedari hai - natija Allah ke hath mein hai. Jo shakhs natije ki 100% guarantee de, us se ehtiyat karein.
7. Ilaj ke sath tibbi hidayat
- Koi bhi shakhs apna ilaaj chhore ya doctor ko chhode - uski sifarish nahi ki jati.
- Rohani amal tibbi ilaj ke sath chalta hai - uski jagah nahi leta.
- Koi bhi dawa ya parhez doctor ki raaye ke baghair nahi chhora ja sakta.
8. Website ki maloomat
Website par mojood tamam maloomat (reviews, tajurbay, waqiat) ke asal honay ki Guarantee di jati hai. Lekin yeh bhi mumkin hai ke kuch details mein tabdeeli ya kami ho sakti hai.
Website par link ya hawala doosri websites ka hai - un par hamari zimmedari nahi hai.
9. Umar ki pabandi
Yeh khidmat sirf 18 saal se zaid afraad ke liye hai. 18 saal se kam umar ke afraad ko apne walidain ke sath rabta karna chahiye.
10. Qanooni hawaley
Yeh terms Pakistan ke qanoon ke mutabiq hain. Kisi bhi side par kisi bhi masle mein Faisalabad, Punjab, Pakistan ke adalat mein case darj hoga.